Fawad Alam Phir Bahar!

harrykennedy
Registered Member
Registered Member
Posts: 17
Joined: 21 Nov 2022, 3:28 pm
Location: Karachi
Been thanked: 1 time
Contact:

Fawad Alam Phir Bahar!

#1



Post by harrykennedy »

T20 World Cup Ka Ghum To Khatam Hua, Ab Pakistan Ka Next Mission Hay England Kay Khilaf Home Series. Jee Haan! Wohi England Jis Nay Pakistan Ko T20 World Cup Final Mein Haraya Tha, 17 Saal Baad Pehli Baar Pakistan Kay Tour Par Aa Raha Hay. Is Pak-England Test Series Mein 3 Test Matches Khelay Jaen Gay.

Pakistan Nay World No. 4 England Ka Muqabla Karnay Kay Liay Apnay 18 Members Squad Ka Ailan Kar Dia Hay. Jis Main Fawad Alam, Hasan Ali Aur Yasir Shah Ki Jaga Nahi Bani. 2 Naey Naam Abrar Ahmed Aur Mohammad Ali Ko Pehli Baar Test Squad Ka Hissa Banaya Gaya Hay.


Fawad Alam Bahar Kyun?
Fawad Alam Ki Is Saal Test Form To Achi Nahi. Australia Kay Against Wo 3 Test Matches Mein Sirf 33 Runs Bana Sakay Thay. Phir July Mein Sri Lanka Kay Tour Par Aik Test Khela Aur 25 Runs Hi Bana Paey.


Laikin Fawad Quaid-E-Azam Trophy Mein Itna Bura Nahi Khel Rahay. Season Kay Pehlay Hi Match Mein Unhono Nay Central Punjab Kay Khilaf 127* Banaey. Phir 60*, 51 Aur 83 Runs Ki Innings Bhi Khel Chukay Hain. Ab Tak 9 Matches Mein 47 Kay Average Say 470 Runs Bana Chukay Hain. Laikin Ye Runs Season Kay Top Scorer Abdullah Shafique Kay 867 Runs Say Buhat Kam Hain. Is Season Mein 18 Batsmen Fawad Alam Say Zyada Runs Bana Chukay Hain Aur Yahi Waja Bani Un Kay Team Say Bahar Honay Ki.

Yasir Shah Ka Era Khatam?
Pak-England Test Series
(Photo: AFP)
Last Decade Mein Pakistan Ki Jitni Bhi Yaadgar Test Kamyabian Hain, Yasir Shah Un Ka Important Part Rahay Hain. Laikin Ab Lagta Hay Un Ka Daur Guzar Chuka Hay. Sri Lanka Kay Tour Par Wo Sirf 9 Wickets Lay Sakay Thay. Yahi Nahi Is Waqt Jari Quaid-E-Azam Trophy Mein Bhi Wo Sirf 14 Wickets Hi Lay Sakay Hain.

Hasan Ali Ka Haal To Yasir Shah Say Bhi Bura Hay. Australia Aur Sri Lanka Kay Against Unhain 4 Matches Khilaey Gaey, Laikin Wo Sirf 5 Wickets Lay Sakay. Ab Quaid-E-Azam Trophy Mein 6 Matches Mein Sirf 11 Wickets Bhi Un Ko Bahar Karnay Kay Liay Kaafi Thi.

Shaheen Bhi Nahi 😥
Pakistan Ko Pareshani Ye Hay Ke Strike Bowler Shaheen Afridi Bhi Pak-England Test Series Mein Nahi Hon Gay. T20 World Cup Kay Final Mein Zakhmi Honay Walay Shaheen Ab Appendicitis Operation Bhi Karwa Chukay Hain. Jis Ki Waja Say Unhain 1 Month Aaram Karna Paray Ga.


Abrar Aur Mohamad Ali Kaun?
Pakistan Nay Jin Players Ko Squad Mein Shamil Kia Hay, Un Mein Naya Naam Abrar Ahmed Aur Mohammad Ali Ka Hay. 24 Saal Kay Mystery Spinner Abrar Ahmed Is Waqt Quaid-E-Azam Trophy Mein Sab Say Zyada Wickets Lainay Walay Bowler Hain. Wo Ab Tak 43 Wickets Lay Chukay Hain, Jis Mein 5 Martaba Innings Mein 5 Ya Zyada Wickets Laina Bhi Shamil Hay.

Mohammad Ali First Class Season Kay Top Fast Bowler Hain. Last 2 Seasons Mein Unhon Nay 56 Wickets Li Hain. Jin Mein Say 24 Unhon Nay Is Season Mein Out Kiay Hain.


Pak-England Test Series Kab?
Pak-England Test Series Ka Pehla Muqabla 1st December Say Rawalpindi Mein Shuroo Hoga. 2nd Test Kay Liay Donon Teams 9 December Say Multan Mein Hon Gi. 3rd Aur Last Test Match 17 December Say Karachi Mein Khela Jaey Ga.

https://raftar.com/sports/pak-england-t ... hir-bahar/

Who is online

Users browsing this forum: No User Avatartrendiction and 14 guests