FIFA World Cup Favourites Kaun?

harrykennedy
Registered Member
Registered Member
Posts: 17
Joined: 21 Nov 2022, 3:28 pm
Location: Karachi
Been thanked: 1 time
Contact:

FIFA World Cup Favourites Kaun?

#1



Post by harrykennedy »

FIFA World Cup Favourites
(Photo: Getty Images/Goal)
FIFA World Cup Behtareen Andaz Mein Shuroo Ho Chuka Hay. Har Roz 4,4 Matches Kay Sath Clear Hota Jaey Ga Ke Kaun Aagay Jaey Ga Aur Kaun Ghar? Laikin Kis Kay Chances Zyada Hain, Ye To Abhi Andaza Abhi Say Lagaya Ja Raha Hay. Aaen Baat Kartay Hain FIFA World Cup Favourites Ki.

1. Brazil
FIFA World Cup Favourites
(Photo: AP)
Brazil Is Waqt FIFA Ki World Rankings Mein No. 1 Hay. Aur Agar Hum Isay Tournament Ki Sab Say Well-Balanced Team Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Us Kay World Famous Players Neymar Aur Vinícius Júnior Is Waqt Best Form Mein Bhi Hain. Yani Brazil Kay Chances Zyada Balkay Buhat Zyada Hain. Agar Brazil Expectations Par Poora Utra To Apna Hi 5 World Cup Jeetnay Ka Record Aur Behtar Bana Day Ga. Laikin Yaad Rakhain, Brazil Last 20 Years Mein Koi World Cup Nahi Jeeta. Yani Is Squad Ko History Bhi Badalna Hogi.

2. France
FIFA World Cup Favourites
(Photo: AFP)
Defending Champion France Hay To Is Waqt Buri Tarah Phans Gaya Hay. Paul Pogba Aur N’golo Kante Kay Injured Honay Kay Baad Waisay Hi Pareshan Tha, Ab Qatar Puhanchtay Hi Karim Benzema Bhi Zakhmi Ho Kar FIFA World Cup Say Hi Bahar Ho Chukay Hain.

Waisay History Bhi France Kay Sath Nahi. 1962 Ki Greatest Brazilian Team Kay Baad FIFA World Cup History Mein Koi Team Apna Title Defend Nahi Kar Saki. To Kya France Is History Ko Repeat Kar Sakay Ga? Dekhtay Hain.

3. Argentina
FIFA World Cup Favourites
(Photo: AP)
35 Matches Say Unbeaten, Yani Red-Hot Form Mein Mojoud Argentina Bhi Favourites Mein Say Aik Hay. Lionel Messi Aik Baar Phir, Balkay Aakhri Martaba, FIFA World Cup Jeetnay Ki Koshish Karain Gay. 2014 Mein Unhain Golden Chance Mila Tha, Laikin Argentina Aur Messi Final Mein Germany Say Haar Gaey. Kya Is Baar Wo World Cup Kay Sath Ghar Jaen Gay? Ye Aanay Wala Waqt Bataey Ga, Form To Kamal Ki Hay, Players Bhi Zabardast Hain.

4. England
FIFA World Cup Favourites
(Photo: Getty Images)
England FIFA Rankings Mein No. 5 Par To Hay Laikin Us Kay Sath Kuchh Maslay Hain. Ben Chilwell Aur Reece James Injured Ho Kar Bahar Ho Chukay Hain. Form Bhi Nahi. Is Tournament Say Pehlay Six Matches Mein Bhi Jeet Nahi Sakay. Yani Haalat Patli Hay. Phir FIFA World Cup Mein Itna Acha Record Bhi Nahi Hay. Dekhtay Hain Kis Tarah Sab Ki Bolti Band Kartay Hain Aur 56 Saal Baad Pehla World Cup Jeet Kar Dikhatay Hain.

https://raftar.com/sports/fifa-world-cu ... ites-kaun/

Who is online

Users browsing this forum: No User AvatarAhrefs [Bot], No User AvatarAmazon [Bot], User avatarBing, No User AvatarDot, User avatarGoogle Adsense, User avatartiger and 33 guests