Urdu Ghazal Shayari

User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Choota jo tera haath to hum toot ke roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,
Imkaan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka,
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,
Anjaan they hum ab tak dard ki surat se,
Huyi jo mulaqaat to hum toot ke roye,
Logon se bohat poocha sabab veerani ka,
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,
Thi dhoop bohat taiz har simt judayi ki,
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,
Din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye,
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi ik hissa,
Tukrron main batti zaat to hum toot ke roye,
Hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi,
Meri pur’ashk ankhon ko nazara chahiye koi,
Tere dar pe jo yun aa aa kar laut jaate hain,
Teri jaanib se hum ko ishara chhaiye koi,
Kaho tum ke kon ho pyare, kahan se loat aye ho ?
Barre be’jaan dikhte ho, sahara chahiye koi ?
Tere sheher-e-wafa main to faateh nahin milna koi,
Warna hum to haazir hain, agar haara chahiye koi,
Mera dil tukrra tukrra hai idhar sham-e-tanhai ka alam,
Magar tujhe bhi to hawass ka hi maara chahiye koi,
Abhi hoon taaq mein, rakh kar sari khushiyan muntazir,
Manaaon ga jashan main bhi, pyaara chahiye koi,
Ajab dil main hai mojzaa, kuch din se paraayi yaad,
Humain phir aik dard ik shayed udhaara chahiye koi,
Main apne dil se poochon, madaawa gham ka kya hai,
To ziddi dil yeh kehta hai, dobara chahiye koi,
Beyaan karti hain dil ka dard meri yeh laal aankhain,
Mera har ashkk kehta hai, chaara chahiye koi,
Nahin in chaand taaron se mujhe koi bhi matlab,
Mujhe to ab muqaddar ka sitara chhaiye koi..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha,
Woh hanss ke ujaalata karti thi, Main subhain likhta rehta tha,
Geeli rait pe saahil ki doobte huye sooraj ke hamraah,
Woh chup chaap chalti rehti thi, Main sochain likhta rehta tha,
Deep wafa ke hote they ya shayed do taarey they,
Woh mujh ko dekha karti thi main aankhain likhta rehta tha,
Tapti dhoop ka rang bhi to phoolon sa ho jata tha,
Woh zulfein khola karti thi main shaamain likhta rehta tha,
Toot kar aksar chahat main, Rooth kar yunhi ulfat main,
Woh mujh ko jeeta karti thi main haarain likhta rehta tha,
Dono ki pehli chahat thi, dono toot ke milte they,
Woh waadey likha karti thi main kasmain likhta rehta tha,
Chand din jab aa thehre they us ki aur meri judaayi main,
Main us ke haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha,
Jaan se peyare se shikwa, kya khud ko ruswaa karna tha,
Main apne honton pe chup ki bas mohrain likhta rehta tha,
Din main dard ki shiddat ko main hanss ke seh jata tha,
Jo uss ke bin katt’ti theen woh raatain likhta rehta tha,
Dasht-e-wafaa main basne ka dekh haasil aye Sehraa Naward*,
Main yaadain likhta rehta hoon, main yadain likhta rehta tha..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese,
Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese,
Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri,
Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese,
Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra,
Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese,
Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey,
Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese,
Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye,
Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Likh kar saari raam kahani bhejoon ga,
Kaaghaz per paani hi paani bhejoon ga,
Shayed ab woh mujh ko na pehchaan sake,
Main apni tasveer purani bhejoon ga,
Khul jayen ge saare raste mehlon ke,
Ab ke aesi aik nishaani bhejoon ga,
Bhejoon ga main yaad ki chitthi tohfe main,
Aankhen, baarish, aur jawaani bhejoon ga,
Kesi kesi kasme khaayi thieen us ne,
Agle khat main yaad’dihaani bhejoon ga..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Taluq rakh liya baaki yakeen torr aya hoon,
Kisi ka saath dena tha kisi ko chorr aya hoon,
Tumhare saath jeene ki kasam khaane se kuch pehle,
Main kuch vaade, kayi kasmen, kahin pe torr aya hoon,
Mohabbat kaanch ka zinaaan thi, yoon sang-e-garaan kab thi,
Jahan sir phorr sakta tha, wahan sir phorr aaya hoon,
Palat kar aa geya lekin yoon lagta hai ke apna aap,
Jahan tum mujh se bichrre they wahin rakh chorr aya hoon,
Usey jaane ki jaldi thi so main ankhon hi ankhon main,
Jahan tak chorr sakta tha, wahan tak chorr aaya hoon..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Rahon pe nazar rakhna honton pe dua rakhna,
Aa jaye koi shayed darwaza khula rakhna,
Ehsaas ki shamaa ko is tarah jalaa rakhna,
Apni bhi khabar rakhna us ka bhi pata rakhna,
Raaton ko bhatakne ki deta hai saza mujhe,
Dushwaar hai pehlu main, dil tere bina rakhna,
Logon ko nigaahon se parh lene ki aadat hai,
Logon ki tehreeron ko logon se bacha rakhna,
Bholoon main agar aye dil, tu yaad dila dena,
Tanhai ke lamhon ka har zakham haraa rakhna,
Ik boond bhi ashkon ki daaman na bhigo paaye,
Gham uss ki amaanat hai, palkon pe sajaa rakhna,
Iss tarah Qateel us se bartaao rahe apna,
Woh bhi na bura maane, dil ka bhi kahaa rakhna..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Aankhon se mere is liye laali nahin jati,
Yaadon se koi raat jo khaali nahin jati,
Ab umar, na mausam, na woh raste ke woh paltte,
Iss dil ki magar khaam khayali nahin jati,
Magar tu agar jaan bhi to hanss ke tujhe de dein,
Teri to koi baat bhi ttaali nahin jati,
Aaye koi aa ke yeh tere dard sambhaale,
Hum se to yeh jageer sambhaali nahin jati,
Maloom humain bhi hain bohat se tere qisse,
Yeh baat teri hum se to uchaali nahin jati,
Humraah teri phool khilaati jo dil main,
Ab shaam wohi dard se khaali nahin jati,
Hum jaan se jaayen ge tabhi baat bane gi,
Tum se to koi raah nikaali nahin jati..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Apni palkain woh band rakhta hai,
Jaane kesi pasand rakhta hai,
Khud ko kehta hai aasmaan paima’n,
Itni oonchi kamand rakhta hai,
Maara jaye ga dekhna aik din,
Kyun dil-e-dardmand rakhta hai,
Sath wale khafaa, khataa yeh hai,
Kyun iraadey buland rakhta hai,
Dhoop se saamna na ho jaye,
Ghar ke darwaze band rakhta hai..
User avatar
-=Abid Gabol=-
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 845
Joined: 21 Nov 2013, 8:09 am
Location: Alipur Janubi Punjab

Re: Urdu Ghazal Shayari

Post by -=Abid Gabol=- »


Udaasiyon ka hunar ikhtiyaar karte hain,
Khushi ko zard ruton main shumaar karte hain,
Tum aao, dekho, saraaho, koi to baat karo,
Tumhare vaaste solah singhaar karte hain,
Gulaab le ke seeney main jo kaante sompey,
Hum is tarah ka bhala karobaar karte hain ?
Faqat wisaal ko kehte hain zindagi hum log,
Firaaq ke kahan lamhe shumaar karte hain,
Nishaane un ke kabi chonkte nahin dekhe,
Bohat qareeb se jo log waar karte hain,
Yeh mausmon se shikayat kyun hai hum ko,
Yeh zikar kis ka bhala baar baar karte hain,
Yeh chaand shab se sehar tak kis ka hai matlashi,
Sitaarey yoon kis ka intizaar karte hain..

Who is online

Users browsing this forum: No User AvatarClaude [Bot], No User Avatartrendiction [Bot], User avatarYandex [Bot] and 5 guests